Comments
Description
Transcript
HRELATE.COM Banana Benefits in Hindi
Banana Benefits in Hindi: Swasth ke Liye Faydemand Hai Kela HRELATE.COM • Kela swasth ke liye bahut laabhdayak hota hai. Roz ek kela khana tann-mann ko tandaroost rakhta hai. Kela sugar aur fiber ka behtrain source hai. Kele mai thiamin, niacin aur folic acid ke roop maI Vitamin A aur B paryapt matra mai moujud hota hai. To aaiye jante hai Banana Benefits in Hindi. • Kele ko urja ka accha source mana jata hai. Saath hi isme pani ki matra 64.3%, protein 1.3%, carbohydrate 24.7% hoti hai. Banana khane se kai bimariya thik ho jati hai. hrelate.com • Kai dietician kela khane ko isliye mana karte hai kyuki isme calorie bahut jyada hoti hai, lekin aap apni diet se kele ko nahi balki uss aahar ko hataiye jisse vajan badhta hai aur usko khane se koi fayda nahi hota hai. • American Heart Association General mai prakashit shodh ki mane to menopause ke baad jo mahilaye niyamit tour par kele ka sevan karti hai, unhe stroke ka khtar 27% tak kam rehta hai. Unke anusar, niyamit tour par ek kele ka sevan mahilao ke sharir mai potassium ki kami nahi hone deta hai jisse stroke ka risk kam rehta hai. hrelate.com Banana Benefits in Hindi: Kela Khane ke Anmol Fayde Urja Milti Hai: Banana athlete logo ka favorite hota hai kyuki yeh turant energy pradan karta hai. Breakfast mai kela khane se urja badhti hai aur fructose, glucose aur sucrose jese poshak tatva bhi milte hai. Wo log jo din bhar bhuke pyase rehte hai, agar wahkewal kela hi kha le to unhe anya phal ke mukable kele se turant energy milegi. Pachan Accha Hota Hai: Kele mai resha paya jata hai, jisse pachan kriya majboot banti hai, Gastric ki bimari wale logo ke liye kela bahut prabhavshali upchar hai. Wo log jo travelling ki tayari kar rahe hai unhe aksar kabj ki shikayat ho jati hai. Isko dur karne ke liye wo kele ko apne saath le sakte hai. hrelate.com Depression Nahi Hota: Ek survey ke mutabit yeh baat samne aayi hai ki wah log jo depression ki bimari se pidit the, wah kela khan eke baad accha mahsoos karte the. Yeh sirf isliye kyuki kele mai protein aur tryptophan paya jata hai jo ki mind ko relax kar deta hai. Anemia: Wah log jo anemia se prabhavit hai, unhe apni diet mai kela shamil karna chahiye. Yeh sharir ke khoon mai hemoglobin ko badhata hai. Jisse anemia ki shiyakat dur ho jati hai. Hangover aur Anindra ko Kam Karta Hai: Research ke mutabit doodh ke saath kela aur shahad mila kar pine se anindra ki samasya dur ho jati hai. Saath hi yeh sharir ke sugar level ko bhi regulate karta hai, jo ki hangpver ka rambann ilaj hai. hrelate.com Blood Pressure Kam Kare: Kele mai potassium paya jata hai, jo ki blood pressure ke risk ko kam kar ke heart attack aur hypertension ki bimari ko control karta hai. US mai kisi anya phal ke mutabit kela khane ko jyada kaha jata hai. Buddhi Badhaye: Baccho mai dhyan aur buddhi badhani hai, to unhe kela khilaiye. Exam ke time baccho ko bhi kela khilane se baccho ka thaka huya dimag chalne lagta hai. Isko khane se unhe urja milti hai jisse wah alert ho jate hai. Stroke: Yeh magical fruit 50% stroke ke risk ko badhne se rokta hai. Isliye agar aapko swasth rehna hai, to apni dite mai kela jarur shamil kare. hrelate.com Garbhavati ke Liye Faydemand: Garbhavastha ke douran mahilao ko sabse jyada vitamin aur minerals ki avashyakta hoti hai. Isliye garbhvati ko yeh salah di jati hai ki wah apne aahar mai kela avashya shamil kare. Par isko shuruati 2-3 mahino tak hi khana chahiye. Baad mai iska sevan nahi karna chahiye. Bujurgo ke Liye Faydemand: Banana bujugo ke liye sabse accha phal hai. Kyuki ise bahut hi aasani se chilkar khaya ja sakta hai. Isme Vitamin C, B6 aur fiber hota hai jo badhti umra mai jaruri hota hai. Budhape mai pet ke vikaar ko bhi yeh samapt karta hai. hrelate.com Banana Benefits in Hindi: Jane Iske Kuch Anya Fayde • Kele mai potassium paya jata hai, jo ki blood pressure ke marij ke liye bahut faydemand hota hai. • Banana shake pet ko thandak pahuchahta hai. • Kela blood sugar niyantrit karta hai. • Kele mai kafi matra mai fiber paya jata hai. • Kele pachan kriya ko sucharu karta hai. • Ulcer ke marijo ke liye kele ka sevan faydemand hota hai. • Kele mai iron bharpur matra mai hota hai, jiske karan khoon mai hemoglobin ki matra badhti hai. • Tanav kam karne mai bhi yeh madadgar hota hai. • Yeh mood ko relax karta hai aur aapko tarotaaza rakhta hai. hrelate.com