Comments
Description
Transcript
Document
Benefits of Hibiscus in Hindi: Sehat aur Sondary Ke Liye HRELATE.COM • Gudhal ka phul bahut hi sundar hota hai. Yeh kai rango mai dekhne ko milta hai jaise laal, gulabi, peela, safed aur begani aadi. Isko hibiscus rosa sinensis ke naam se bhi jana hata hai. Yeh dekhne mai to sundar hota hi hai sath hi sath hamare swasth ke liye bhi faydemand hota hai. • Gudhal ke phul mai kai prakar ke poshak tatv jaise vitamin C, calcium, fiber, iron, vasa aadi uchh matra mai paye jate hai jo hame swasth sambandhi kai prakar ki bimariyo se nijad dilane mai madad karte hai. Iske phul ka istemal davao mai bhi kiya jata hai. • Gudhal ka phul hame cholesterol, madhumeh, uchh raktchap aur sankraman aadi se bachane mai madad karta hai. Kai log gudhal ke phul ki chai banakar bhi pite hai, iski chai hame kidney ki samasyao aur depression ki wajeh se huye kharab mud ko thik karne mai madad karti hai. • Shayad aap yeh jante honge ki gudhal ke patto ko chabane se muh ke chhale bhi thik ho jate hai. Iske alava iske aur bhi faydo ko janne ke liye yaha padhe Benefits of Hibiscus in Hindi aur rakhe apni sehat ka sahi tarah se khayal. hrelate.com Benefits of Hibiscus in Hindi: Inn Bimariyo Mai Faydemand hrelate.com • Cholesterol Level Ko Niyantrit Rakhe • Gudhaal ki pattiyo se bani chai hamare sharir ke cholesterol ke star ko banaye rakhne mai madad karti hai. Yeh LDL ko kam karne aur HDL ko banane mai sahayak hoti hai. Isme upasthit poshak tatv artery mai plaque ko jamne se rokta hai jisse sharir mai cholesterol ka level kam ho jata hai. Iss tarah se gudhal hame dil se sambandhit sabhi pareshaniyo ke liye faydemand hota hai. • Anemia ko Dur Kare • Hamare sharir mai iron ki kami se anemia ki samasya ho jati hai. Gudhal ke phul mai upasthti iron hame anemia ki samasya se nijad dilane mai madad karte hai. • Iska istemal karne ke liye 40 se 50 gudhal ke phul ki kaliyo ko acche se piskar uske ras ko ek tight dibbe mai band kar le. Rojana subah aur sham ek mahine tak iss powder ko dudh ke sath lene se anemia ki samasya dur ho jati hai sath hi iske sevan se stamina bhi badhta hai. • Sardi-Jukham Mai Rahat De • Gudhal ki pattiyo mai acchi matra mai vitamin C paya jata hai jisse yeh hame sardi aur jukham se rahat dilane mai madad karta hai. Iske istemal ke liye gudhal ki pattiyo se bani chai ka rojana sevan kare isse aapki sardi jald hi thik ho jayegi. hrelate.com • Masik Dharm Mai Labhkari • Mahilao mai hone wali mahvari ke chakra ko niyamit banaye rakhne ke liye gudhal bahut hi labhkari hota hai. Darahsal, mahilao ke sharir mai estrogen ka star kam hone se hormones ka santulan bigad jata hai jisse mahilao ka masik chakra sahi samay par nahi aa pata hai. Aese mai gudhal ki pattiyo se bani chai pina chahiye jisse menstrual cycle mai koi bhi dikkat nahi aati hai. • Anti-Ageing Ki Samasya Dur Kare • Gudhal ki pattiya mahilao ke anti-ageing ki samasya ko dur karne ki sabse asardari aushdhi ka kam karti hai. Gudhal ki pattiya hamare sharir ke free radicals ko hatane ka kam karti hai jisse umra badhne ki prakriya dhimi ho jati hai. Jisse hamari twacha jawa aur khubsoorat dikhai dene lagti hai. • Uchh Raktchap Ke Liye • Uchh raktchap se pidit vyaktiyo ke liye gudhal ki pattiyo se bani chai bahut hi labhkari hoti hai. Iske sevan se hamari hriday gati samanya ho jati hai aur ham relax mehsus karne lagte hai. hrelate.com • Vajan Kam Kare • Gudhal ka sevan karne se hame bar-bar bhuk lagne ki samasya band ho jati hai. Iski pattiyo se bani chai bahut hi energetic hoti hai jisse hame lambe samay tak bhuk nahi lagti hai. Kam khane s ehamari pachan kriya tej hoti hai jisse sharir mai anavashyak fat jam nhi pata hai aur vajan kam hone mai madad milti hai. • Twacha Ke Liye Faydemand • Gudhal ki pattiyo mai iron, vitamin C aur anti-oxidant ka gun hota hai jo ki hamare chehre ki jhurriya, muhase, unke daago ko thik karne aur chehre se judi kai prakar ki samasyao se nijad dilane mai madad karte hai. Iske istemal ke liye laal gudhal ki pattiyo ko pani mai ubaal kar acchi tarah pees le. Ab isme thoda shahad ko milaye aur apne chehre par lagaye. Aesa karne se aapke chehre ka rukhapan dur hoga aur chehre par tajgi bhi dikhai dene lagegi. • Baalo Ki Sahi Dekhbhal Kare • Bahut se Benefits of Hibiscus for Hair bhi hai. Kuch log apne baalo ke jharne se bahut pareshan rehte hai. Aese mai gudhal ki pattiya baalo se judi kai prakar ki samasyao ko dur karne mai sahayak hoti hai. • Gudhal ki pattiyo ko acchi tarah se piskar jaitun ke patto ke sath milaye. Ab iss paste ko apne sar par 10 se 15 minute ke liye lagakar rakhe fir kuch der bad halke gunhune pani se apne sar ko dho le. Aesa karne se baal ghane dikhayi dene lagenge. hrelate.com • Gudhal ki pattiyo ko piskar nariyal ke tel ke sath milakar kuch der ke liye ubaal le. Thanda hone ke bad iss tel se apne sar ki malish kare. Aesa karne se baal chamakdar dikhayi dete hai aur baalo mai majbuti aati hai sath hi rusi ki samasya se bhi nijad milta hai. • Iske alava gudhal ki patti aur iske phul se bana paste baalo ke liye prakratik hair conditions ka kam karta hai. Ise lagane ke liye baalo ko pehle shampoo se dho le fir ise lagaye. Aesa karne se baalo ka rang kala hota hai aur rusi se chutkara milta hai. • Gudhal ki pattiyo ko pani aur aamla powder dalkar piskar sar ki malish karne se baalo ka jharna band hota hai aur baal lambe hote hai. • Benefits of Hibiscus in Hindi: Aur Adhik Fayde Inhe Bhi Padhe • Gudhal ki pattiyo ko piskar twacha par lagane se sujan aur jalan mai aaram milta hai. • Gudhal ki pattiyo aur phul ko piskar bane powder ko dudh ke sath lene se memory power badhti hai. • Upar aapne jana Benefits of Hibiscus in Hindi. Yadi aap bhi apne baal aur sharir ko swasth rakhna chahte hai to aaj se hi gudhal ke phul aur patiiyo ka istemal karna shuru kar de. hrelate.com