Comments
Description
Transcript
- SlideBoom
Fenugreek benefits in Hindi: Methi Dane Ke Swasthvardhak Labh HRELATE.COM • Methi ka istemal har rasoi ghar mai kiya jata hai. Thand ke dino mai methi ki bhaji bahut dekhne ko milti hai. Yeh garm tehsir ki hoti hai. Swasth ki drashti se dekhe to methi ki bhaji aur daane dono hi sharir ko kai prakar ki bimariyo se bachane mai madad karte hai. • Methi ek adbhut masala hoti hai. Iska prayog kai prakar ke vyanjano ko banane mai kiya jata hai, iska swad behad kadwa aur teekhi khushbu wala hota hai. Methi ko English mai Fenugreek kaha jata hai. Methi ke daano la prayog bhojan ko swasdisht aur khushbudar banane ke sath-sath swasth aur sundarta ke liye bhi kiya jata hai. • Methi mai bharpur matra mai fiber, potassium, iron, vitamin c, niacin aur Alkaloids aadi gun paye jate hai jo ki sharir ko kai bimariyo se ladne ki shakti dete hai. Iske sath-sath isme upasthit protein ki matra baalo ko majbuti aur punarjeevit karne mai madad karti hai. • Methi ke dane sharir ko madhumeh, ucch raktchap aur hriday aadi se sambandhit bimariyo se bachane mai madad karta hai. Iske alava bhi iske aur bhi fayde janne ke liye yaha padhiye Fenugreek benefits in Hindi aur rahiye kai prakar ki sharirik samasyao se dur. hrelate.com hrelate.com Fenugreek benefits in Hindi: Inn Bimariyo Mai Labhprad Hai Methi • Hriday Ke Liye Faydemand • Methi ka sevan sharir ko hriday sambandhi samasyao se dur rakhne mai madad karta hai. Isme upasthit galactomannan, dil ka dora padne ke khatre ko kam karne mai madad karta hai Cardiovascular ki samasya se bhi nijad milta hai. • Iske sath hi methi sodium ka bahut accha strot hota hai jo ki sharir mai sodium ke prabhav ko kam kar hriday, dil ki gati aur ucch raktchap ko niyantrit karne mai sahayak hota hai. • Madhumeh Ka Khatra Kam Kare • Madhumeh se grasit logo ke liye methi ek vardan hoti hai. Isme upasthit Gelaktomenon namak fiber sharir mai atirikt shugar ki matra ko kam karne mai sahayak hota hai. Iss wajeh se yeh madhumeh rogiyo ke liye faydemand hota hai. Iske sath hi yeh sharir mai acid ka banna kam kar aur insulin ki matra ko badhane mai sahayak hota hai. • Isliye rojana 5 se 6 dane methi ka sevan karne se sharir mai shugar ki matra niyantrit rehti hai. hrelate.com • Vajan Kam Karne Mai Sahayak • Jo log apna vajan kam karna chahte hai unke liye bhi methi ke dane faydemand hote hai. Isme upasthit fiber ki matra sharir mai upasthit atirikt vasa ko kam kar vajan aur motape ko kam karne mai sahayak hota hai. Iske sath hi jo log subah, rat mai bhigoye huye methi ke dane ka sevan karte hai unhe lambe samay tak bhuk ka ehsas nahi hota hai aur sharir overeating se bach jata hai. • Baalo Ke Liye Faydemand • Baalo ki dekhbhal ke liye bhi methi ka upyog kiya jata hai. Methi mai protein, nicotine acid aur Lesithynri ki badi matra hoti hai jo ki baalo ki jado ko majbuti pradan karne aur unke punnirman mai sahayak hota hai. • Iske istemal ke liye methi ke dane ko rat bhar bhigone ke liye rakh de. Subah inn dano ko piskar paste bana le aur baalo par laga le. Baalo ke sukhane ke bad thande pani se baalo ko dho le aur usme gari ka tel laga le fir acchi tarah shampoo se dho le. Aesa karne se baalo mai chamak aati hai aur baalo ko rusi jaisi samasyao se bhi nijad milta hai. • Cancer Ke Liye Upyogi • Shodho ke dwara pata chala hai ki methi mai upasthit Saponins, Musilej namak fiber sharir ke sabhi vishele padartho ko bahar kar pet ki bulgum jhilli ko suraksha pradan karta hai. Iss prakar methi pet mai hone wale kai prakar ke cancer jaise colon cancer aadi se ladne ki shakti hrelate.com deta hai. • Twacha Ke Liye Faydemand • Methi ke dane chehre ko twacha sambandhi samasyao jaise khujali, jalan, jhurriya, fode-funsi aur gaanth ki samasya se dur karta hai. Iske istemal ke liye pani mai methi ke kuch dane dalkar ubaal le aur uss pani se muh ko dhoye. Iske alava methi ke beej ya fir methi ke patto ko piskar chehre par lagane se bhi khujali aur jalan jaisi samasya se chutkara milta hai. Sath hi methi, twacha ke kai andaruni vicar aur eczema mai bhi faydemand hota hai. • Mahilao Ke Liye Bahuupyogi Hai Methi • Methi mahilao ko nimn prakar ki samasyao se nijad dilane mai madad karta hai. • Methi mai upasthit Dayosjenin isoflavones namak yogik masik dharm ke samay hone wali ulti aur bechaini hone ki samasya ko kam karne mai madad karta hai. • Rajonivratti ke bad mahoilao ko lagne wali garmi, kuch bhi accha na lagna aur manobhav mai jaldi-jaldi hone wale badlav ko kuch had tak kam karne mai sahayak hota hai. • Methi mai upasthit Daisojenin, Shishu ke janm ke bad maa ke sharir mai jyada dudh banane mai madad karta hai, • Prasav ke doran mahilao mai hone wali peeda ko kam karne mai sahayak hota hai. hrelate.com • Fenugreek Health Benefits: Anya Fayde Inhe Bhi Padhe • Methi ka sevan, sharir ke cholesterol leval ko niyantrit karne mai madad karta hai. • Methi ka sevan karne se pachan aur kabj sambandhi samasyaye khatm ho jati hai. Sath hi acidity aur alsar jaisi samasyao ko khatm karne mai madad karta hai. • Ek chhote chammach nimbu ke ras aur shahad ke sath methi dane ko khane se bukhar, gale ke dard, sardi aur jukham mai rahat milti hai. • Methi dane ke sevan se manushyo mai yon shakti ka vikas hota hai. Jo vyakti niyamit rup se methi ka sevan karte hai unme yon sambandhi samasyaye kabhi nahi hoti hai. • Jinn vyaktiyo ko bar-bar peshab lagne ki samasya hoti hai unke liye bhi methi bahut faydemand hoti hai. • Aaj apne jana Fenugreek benefits in Hindi. Yadi aap bhi upar dee gayi bimariyo se grasit hai to aaj se apne aahar mai methi ko shamil kare aur rahe swasth. hrelate.com